Wo Hai Koi Poem by Sonali Ganguly

Wo Hai Koi

chaal rhe thye suni raho me kahin.
tanhai me saath nibha gaya koi.
ruki ruki si hai zindagi humari.
khamosh dhadkano ko dhadka gaya koi.

sar par to tha humara gamo ka taj.
unme khusi ke moti saja gaya koi.
yun to thi aadat hume mayusi ki.
khusi ke barish me bhigo gaya koi.

aab tak akele thi jo zindagi ki rahen.
unko kai yaadein de gaya koi.
maangi to thi humne maut dua me.
par jine ki chahat jga gaya koi.

aab tak kora tha zindagi ka daman.
unme kai raang bhar gaya koi.
jin palko me thi kavi aansu ki naami.
unme kae khwaab saja gaya koi.

naa jane kitne sawaalo se ghiri thi me.
har uljhaan meri suljha gaya koi.
bikhre huye the kae alfaaz mere.
fir se koi nayi dhun suna gaya koi.

goom thi zindagi kisi ki talash me.
pal bhar me hume aapna bna gaya koi.
jis pyaar se hum the ab tak bekhabar.
usika ek pyaara ehsaas de gaya koi.

hume to intezaar tha kisi aapne ka.
chupke se dil chura le gaya koi.
kaisi ankahi hai ye chubhan.
ek meetha sa dard de gaya koi...

Wo Hai Koi
Thursday, April 14, 2016
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
dedicated to the one who taught me the meaning of love, one who taught me to love......
COMMENTS OF THE POEM
Abhipsa Panda 02 January 2019

itz really awesome...loved ur lines mam

0 0 Reply
Sonali Ganguly 12 April 2019

Thank you dear

0 0
Seema Chowdhury 08 May 2016

Lovely and a tender write dear

1 0 Reply
Sonali Ganguly 12 April 2019

Thanks dear

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success