Ye Kaisa Ilam Poem by Jyoti Gupta

Ye Kaisa Ilam

Ye kaisa ilam mila hai mujhe
jisse hum chupate hai

tadapte hai akele me
mehfilo me muskurate hai
jisse paya nhi jindgi me kabhi
phir bhi khokar usse ro jate hai

ye kaisa ilam mila hai mujhe
jisse hum chupate hai

Sulagte hai iske yaado me
khwabo me usse pate hai
jalta hai humara dil
phir bhi hum muskurate hai

ye kaisa ilam mila hai mujhe
jisse hum chupate hai

Har khusi me hum uski
apni khusi ko pate hai
andhero me hum uske liye
diya ban jal jate hai

ye kaisa ilam mila hai mujhe
jisse hum chupate hai

Tuesday, May 22, 2018
Topic(s) of this poem: loneliness
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success