Yeh Ishq! ! ! (Ghazal Type) Poem by Veer Dhiman

Yeh Ishq! ! ! (Ghazal Type)

Kambakht-e-ishq ho hi kyun jata hai,
Khuda ki or ibaadaton mein jhukata hai,
Sajde mein jab jab jhukta hai yeh nacheez,
Kyun mera khuda mujhko yaad aata hai...? ? ?

Kehte hain aasman farishton ka hai,
Kehte hain zameen parwanon ki hai,
Khuda ke toh sirf bande hain hum,
Kyun meri aashiqui khuda ho jati hai...? ? ?

Yeh aasman bhi tujhpar fanaa hai,
Yeh zameen bhi tujhpar fanaa hai,
Hum khud bhi tujhpar huye fanaa,
Kyun jaan-e-mann yeh ishq hi fanaa hai...? ? ?

Saturday, September 24, 2016
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Veer Dhiman

Veer Dhiman

Palampur
Close
Error Success