Zindagi Kya Khabon Mein Jee Ja Sakti Hai? Poem by Anam Rizvi

Zindagi Kya Khabon Mein Jee Ja Sakti Hai?

Yadon aur khwabon mein, kab tak tak Zindagi bitaenge?
Jab beet jayegi ye, tab kya baithe ansu bahayenge?

Aaj waqt hai.
Sach karlo un khwabon ko.
Aaj waqt hai.
Aao Zindagi jee lein.

Is khule aasman ke neeche,
kahin khud ko pa lein.

Choti si hai ye,
Yun beet jayegi,
Aur hum khwabon aur yadon mein,
Kahin khoye reh jayenge.

Aaj waqt hai,
Aao Zindagi jee lein.

Kitni beet jayegi yeh,
Ke hum samajh payenge?
Yahan kyun hain hum, kab yeh khud ko samjha payenge?

Aaj waqt hai.
Aao Zindagi jee lein.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Anam Rizvi

Anam Rizvi

India
Close
Error Success