Rajendra Singh Rathore

Rajendra Singh Rathore Poems

kal se hum in galiyon me na aa payenge
maaf kar dena hume jo sari vafaaye bhul jayenge!

Akshar mai baithkar kinare,
...

Jab Chanda Ki Chandni Se Bahar AatiHai,
Tab Sama Jalati Hai Parvano Ko Yaad Dilati Hai.

Jab Oosh Ki Bunde Chaman Me Khilkhilati Hai,
...

Vatan Ki Hifajat, Tamnna Sarfroshi ki
Junun javani Ka, Juban Par Jajbat Ho.

Jang-E-Maidan, Jism Par Nishani Jakhm Ki
...

Jang-A-Maidan Ho khade, Khoon Ka katra-Katra Tol Diya Tha,
jakham Hue Dil-A-jaan ko, Paida Hone Ka Mol Diya Tha.

Tha Andhere ka Aagosh, Sahma Dushaman Bhi Tha,
...

Aye Meri Mohbbat, Geet Gaaoo, Gazal Banaou
Gar Ruth Bhi Jaye To TU Pal-Pal Tujhe Manaou.

Yaad Aayi Jab Teri, Usi Pal Chaha Tasveer Banaou
...

अगर जिंदगी जीतने की है तो हर कदम बधा चलो
कर लो दुनिया मुट्ठी में इस दुनिया को कुछ दिखा चलो

कहते है इतिहास बदलता है युवा जहाँ का
...

Tu khuda hai ya khuda ka tohfa
Samajh nahi pata hu
Bas tujhe pa kar fuli nahi samata hu.
...

Ek beej................ Khet me
Ek navankur......... Ret me
Ek nai kopal........ Chet me
Phir koi saakh hogi...........
...

Insha tera vajood kya, chand kshano me chut jaye,
kacchi dor se bandhi haijindgi ruh se jane kab tut jaye.
Banaye tere ye gharonde kanch ke jane kab tut jaye,
bana kar rakhana apana kisi ko yohi na sanse tut jaye,
...

Ae Rab Tu Hi Sab,
Tujhe Pa Liya.
Itni Khushi Mili Mujhe,
Teri Sanson Se Ji Liya..
...

£ Ek dastak hui h darwaje par
Khushiya lekar tu jo aaya h darwaje par.

£ Chahat thi jo barso se adhuri Puri hui
...

Rajendra Singh Rathore Biography

Hi.....I Am Rajendra Singh Rathore. A Literature and Fun, Art lover still writing poem for my enjoy with a deep messages. I think without Literature Life is Nonsense. I like poem, novel, play and story.......and hope you will also like my poem. Enjoy........)

The Best Poem Of Rajendra Singh Rathore

Hindi Poem-Na Aa Payenge

kal se hum in galiyon me na aa payenge
maaf kar dena hume jo sari vafaaye bhul jayenge!

Akshar mai baithkar kinare,
gumsum laharo ko nihara karta tha.
aaj ek jhoke ne tod di meri duniya,
gum hai hamare mohale viraan ho jayenge.

akshar hum gum me dub jate the.
kabhi pass baith kar khushiya mante the,
vaade, kasme, vafaa sab hum tod rahe hai,
kartavya ki pratibadhata bhi bhul jayenge.

akshar meri chahat me khushiya thi,
pass baith kar chay ki chuskiya thi.
kya pata apane bhi begana kahe hume mahfilon me,
kuonki ab gazal to kya aashu bhi na bha payenge.

akshar sochta hu sukriya kaise adaa karu aapka,
sabad duvaye, kam pad jate hai aabhar jatane ko.
dil se dua maafi ki aasha rakhata hu,
ab hum sab kuch chod bahut dur chale jayenge.

gar chaha khuda ne aap se milana fir hume,
hamare hisse ki khushiya aap ke liye maang layenge.
kal se hum in galiyon me na aa p[ayenge,
maaf kar dena hume jo sari vafaaye bhul jayenge.

Rajendra Singh Rathore Comments

Rajendra Singh Rathore Popularity

Rajendra Singh Rathore Popularity

Close
Error Success