Hindi Poem- Yaaden Teri Poem by Rajendra Singh Rathore

Hindi Poem- Yaaden Teri

Rating: 5.0

Jab Chanda Ki Chandni Se Bahar AatiHai,
Tab Sama Jalati Hai Parvano Ko Yaad Dilati Hai.

Jab Oosh Ki Bunde Chaman Me Khilkhilati Hai,
Tab Sapano Me Aayi Wo Murat Bahut Rulati Hai.

Jab Nai Kali Pushp Ban Chaman Ko Mahkaati Hai,
Tab Teri Hansi KI Surat Bahut Hasati Hai.

Jab Din Chadata Hai Roshani Chehre Pe Aati Hai,
Tab Dil ke Samander Me Bechen Lahare Aati Hai.

Jab tapish Dhoop Ki Jaunun Sa Bhar Jati Hai,
Tab Har Pal Murat Teri Bechen Sa Kar Jati Hai.

Jab Chupata nHai Wo Chandni Andhere Me Ghir jati Hai,
Tab Simat Kar Wo Nigaho Se Fir Diya Jalati Hai.

Jab Phir Tu Sapano Me Chali Aati Hai,
Tab Bas Yaade yaade Yaade Teri Rulati Hai.

Tuesday, April 8, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Rajendra Singh Rathore

Rajendra Singh Rathore

Jaipur, Rajasthan, India
Close
Error Success