smriti sharma

smriti sharma Poems

Mai akela toh nahi tha,
ab kaise ho gaya?
Maano sab kuch ek pal mai kho gaya,
Zindgi ki hakikat saamne aayi,
...

2.

Meri maa bhi sab maaon jaisi hai
Zindgi ki tap ti dhoop mai thandi chhaon jaisi hai
bin maange jo aarzoo ho puri
mere dil se jo nikli,
...

The Best Poem Of smriti sharma

Akelapan

Mai akela toh nahi tha,
ab kaise ho gaya?
Maano sab kuch ek pal mai kho gaya,
Zindgi ki hakikat saamne aayi,
Sab bhram mit gaya,
Sacchai chaayi..
Kyun maan raha tha khud ko sabse sukhi?
Uss guroor k saamne ab nazrein jhuki,
Ab chain bass tab hi mil sakta hai,
Mit jaayein iss dil ki diary k panne sabhi..
Uss shor ki toh maano manzil hi dhah gayi,
ab toh bass akelapan accha lagta hai..
WO hansi, wo shor..ab hume kahan jachta hai?
Kash! kyun na hum pahle se hi akele hote
kyun ye bojh jhoothi yaadon ka dhote..
Na aaye ab yahan koi aur
mai dekhna chahta hu ab duniya ka chhor
iss dukh k liye
khuda maine kyun wo sab sukh saha? ? ?
Mai Akela toh nahin tha
ab kaise ho gaya? ? ?

smriti sharma Comments

smriti sharma Popularity

smriti sharma Popularity

Close
Error Success