Aabnaiy Poem by iqtidar javed

1 / 1
iqtidar javed

iqtidar javed

Bashahpur Mandi Bahauddin Pakistan

Aabnaiy

Rating: 5.0

Aankh kay aabnaiy meiN
dooba machhaira na janay
falaktaz dharay meiN
gaati'nahati hui surkh laRki kee jaaN
us machhairay meiN hay!

Larki kay geetoN meiN
langarandaaz kishti hay
lehroN kee karwat hay
sahil ka phall hay
machhairay kee taaza jawani hay
Masti bhara neela paani hay

Larki umadti hui waqt kee dhaar hay
jis kay railay say
mehshar bpa karti lehriN nikalti heiN

Larki samandar hay
gehray samandar kee ghambeer khamoshi'
pani say urti hui daryiN
chinay kinray
har ik cheez larki kay geetoN kay andar hay
larki parinda hay...........aabi parinda
samandar kay bayant seenay pay
urta hay sadyoN say
sadyoN say lambi'muimmir chatanoN say jurta hay
muRta hay wapis
samandar kay bay ant phailao kee simt!

Larki koi mujaza
samandar meiN jooN hi utarti hay
pani ko rangeen karti hay
lehroN kee chaadar ko oopar uthati hay
moti banati hay
moti banatay huay geet gaati hay
larki kay geetoN kay naani
faqat us machhairay pay roshan heiN
jo aankh kay aabnaiy meiN Dooba paRa hay! !

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
1 / 1
iqtidar javed

iqtidar javed

Bashahpur Mandi Bahauddin Pakistan
Close
Error Success