Ab Yaad Nhi.. Poem by abhilasha bhatt

Ab Yaad Nhi..

Tumhari pasand ko
Maine apni pasand bana lia
Meri kbhi apni pasand kya thi
Ab yaad nhi
Tumhari khushi ko
Maine apni khushi bana lia
Meri apni khushi kisme thi
Ab yaad nhi
Tumhari chahaton ko
Maine apni chahat bana lia
Meri chahat kya thi
Ab yaad nhi
Tumhare ghamon ko
Maine apne gham samajhe
Mere ghamon ki Kya wajah thi
Ab yaad nhi
Tumhare sapnon ko
Maine apne sapne bana lie
Mere khudke sapne kya they
Ab yaad nhi
Tumhare khwaabon ko
Maine apne khwaab maane
Mere zindagi k khwaab kya they
Ab yaad nhi
Tumhare kisson ko
Maine apni kahani banali
Mere jeevan ki kahani kya hai
Ab yaad nhi
Tumhari manzil ko
Maine apna safar maana
Meri manzil kya thi
Ab yaad nhi
Tumhari jeet ko
Maine apni jeet maana
Meri khud ki jeet kisme thi
Ab yaad nhi
Tumhari aadaton ko
Maine apni aadat banaya
Meri khudki aadatain kya thi
Ab yaad nhi
Tumhare wajood ko
Maine apna wajood bana lia
Mera khudka wajood kya hai
Ab yaad nhi
Tumhari beruki ko
Maine tumhara much par adhikaar jaana
Mera khud par kb adhikaar tha
Ab yaad nhi
Tumhari shikaayaton ko
Maine tumhara pyar maana
Meri khud se shikayat kab thi
Ab yaad nhi
Tum bas khud main rahe
Aur main hum hi kehti rahi
Main kb mujhmain thi
Ab yaad nhi
Tumhe to ab main bhi yaad nhi
Galti tumhari bhi nhi
Main tum main samaati rahi
Main aur tumhe apna samajhti rahi
Hum sath hain chal rahe maanti rahi
Jabki tum bas Mera kehte hue chalte rahe
Aur ahem main mujhe chota aur chota
Din raat seher shaam
Mujhe apni aur meri nazron main krte rahe
Ab agar tumko main yaad nhi
To mujhko tumhe yaad rakhne ka kahin koi matlab nhi..

Monday, January 18, 2016
Topic(s) of this poem: ignorance,life,relationships
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 21 January 2016

Wah wah kya badhiya poem hai.....10+++

0 0 Reply
Rishi Thakkar 18 January 2016

Agar wo yaad nahi karte Tum kyun fariyaad nahi karte.. Kya farak hai unme aur Tumme Wo bhi yaad nahi kare Tum bhi bhul jaao.. Maza to zindigi ka un Palon mein hai Jab aapko unki har burai se bhi mohhabbat ho.. Kyun ki jab dil ki wohi chahat ho.. Kya kisi aur ki zaroorat ho.. Keval Milna haasil karna pyaar nahi hota Naa saath hone par bhi apne pyaar ki misaal de zamana.. Sabko naseeB nahi aisa pyaar hota :) Beautiful writing

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success