Aik Neta Aur Ladka Poem by Talib Khundmiri

Aik Neta Aur Ladka

Rating: 4.5

' Aik neta aur ladka ' by talib khundmiri sahab

Aik din kisi ladke se ye bola koi neta
Har subah ko hojata hai didar tumhara

College ke liye roz guzzar te ho idhar se
Lekin mere bangley me kabhi paoon na rakha

Dekho ke yahan mujse mulakhaat ki khatir
Kitni badi tedat me mandlati hai janta

Aik tum guzar jate ho khamosh idhar se
Bhool se bhi mujh ko kabhi mudkar nahi dekha

Talim ka ye shoukh bahut khoob hai leykin
Kya tum ko saisat ka nahi hai koi chaska?

Ye waqt jawani ka kitabon me gawaan kar
Tum faida apna hi karoge na kisi ka

Muu mord ke college se mere pas jo aao
Tum ko bhi bahut jald banadunga mein neta

Ye raaz bhi shayad tumhe maloom nahi hai
Neta ke liya aaj zaroori nahi shiksha

Ladke ne suni baat jo neta ki toh bola
Dijiye ga shriman kisi aur ko jhansa

Dhokey mein ye na cheez toh aane ka nahi hai
Jo aap ke phandey mein phansa phir nahi nikla

Bhagwan mujhey aap se bas door hi rakhe
Aik bar bhi muj per na pade aap ki chaya

Neta ne kaha woh farebhi mujhe samjhe
Tum sa koi nadan zamane me na hoga
Is baat ka tumko mein yakheen kaise dilaoon
Karta hoon zamane se mein is desh ki sewa

Mein ne Jo tumhein rah siasat ki dikhai
Isme to miyan sirf tumhara hi bhala tha

Maidane siasat me utar aao Jo tum bhi
Logon me tumhara bhi bahut maan badega

Din raat agar tum bhi mere saat rahuge
Shourat ke aalava tumhein paisa bhi milega

Manzoor agar tum ko ye tajviz hey meri
Is baar election me mera haat batana

Ladke ne kaha, wah! Bahut khoob mahashey!
Matlab pe pahunchna toh faqt aap ne sikha

Kiya aap ki tarif karon apni zaban se
Dekha hi nahi me ney kabhi ap sa neta

Makkari, hawas, jhoot, hasad, aur khushamad
Hain jamaye Kayi aap mein ausaf hameera

Kisi darjey tabyat pe khina-at ka asar hai
Laalach hi nahi aapko Kursi. Ke alaawaa

Hota tha siasat me kabhi jazbe khidmat
Mehnat se banaya hai ise aapne dhanda

Akhbar mein chaptey hain Bayaan aapke aksar
Goya akhaal se inka koi rishta nahi hota

Har ek ki rukti hai nazar aap pe aakar
Hota hai kisi shehar me jab bhi koi danga

Hain aapke mamnoon Kayi shehar yahan ke
Surat ho ke dilli ke Aligarh ke ayodhya

Hota hai kahaan aazar kisi ko
Yeh kaam toh karta hai sadaa aapka chamcha

Hai sabse alag aapka andaaz-e-nawazish
Bachchon ko gareebo ke, yateemi se nawaza

Mujrim bhi Bahi-khawah fakhat aapko jaane
Har shaks ko rudbaa yeh maiissar nahi hota

Neta ne kaha dil me yeh hushyaar bahot hai
Achcha hai bahot isse mera door hi rehna

Tokega mujhe warna yeh har ek khadam par
Hojayga mushkil mera sansad me pahonchna

Behtar toh yahi hai Mai kisi aur ko phaansu
Chalakh agar ho toh, khatarnak hai chamcha...

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 20 August 2016

wah waah....bahth badhya janab..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success