Aisa kyn hota hai....
jab chahun aasmaan par jana...
kale baadal cha jate hain..
jab chahun dhara par sthirta..
dhara bhi dol pardti hai..
aisa kyn hota hai..
jab thamu khushiyon ka daaman..
pareshaniyon k cheete pardte hain..
jab chahun saptrang ki srishti
saptrang bhikarne lagte hain...
jab jab abhilasha k pankh lage hain...
paristhitiyon ne unhe katra hai..
jab jab abhilashit man me pulkit..
hoti sapnon ki dharaa hai..
aisa kyon hota hai...
jab sapnon k pulkit pakshi...
chumte suraj ki kirnon ko..
tab kyon jab main aankhein kholu...
paati visham dharatal ko............
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Sam drushti se paaya maine Kitni maarmik kitni samvedan Aapki rachna hai Srishti!