Asliyat-E-Mehboob. Poem by Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

Asliyat-E-Mehboob.

Jinko dilbar mana wo sitamgar nikle,
Jinko khuda mana wo pathar nikle.

Rahat-e-dil samjhte the jine hum kabi,
Wo aaj hakikat mein dard-e-sar nikle.

Hum ishiq ki baazi jeet ke haar gaye,
Wo haare phir jeete so baazighar nikle.

Dusron ke liye hum ne dil ko ghar banaya,
Aur hum hi akhir kaar yuon beghar nikle

Aaj jana iman ke sath jisam bi bikta hai,
Jab apne hujare se hum jo bahar nikle.

Mehtab zindgi mein kuch na hasil hova,
Dil to haar hi gaye ab jaan haar kar nikle.

(copyright)

Asliyat-E-Mehboob.
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
copyright.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

R/o Sagrawet, Tehsil Darhal, District Rajouri and State J&k, India
Close
Error Success