Chaand (Moon) Poem by Always Aparna

Chaand (Moon)

Rating: 2.2


Jab Bhi Tum Raat Ke
Chaand Ko Dekho
Kabhi Aise Hee
Poochh Liya Karo
Ki Chaand Ko Chaandni
Kyon Itni Bhaati Hai?

Gar Chaand Yun Hee Kabhi
Jawaab De Paaye Tumko
Shayad Is Baat Ka Tumhe
Ilm Ho Jaaye, Ki -
Mohabbat Kee Nahin Jaati
Ho Jaati Hai...


Ilm = Learning / Knowledge / Wisdom

COMMENTS OF THE POEM
A . 19 September 2009

hmmmmm.. Mohabbat Kee Nahin Jaati Ho Jaati Hai... :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success