Ek Pehali..... Puzzled Poem by mithilesh yadav

Ek Pehali..... Puzzled

Rating: 5.0

Rastey mein jatey jatey...kabhi thakna, kabhi girna, par fir bhi chaltey jana......
kisiko jab bataya pehali ye to usney jawab diya jindagi hai.....

kabhi milna, kabhi bichadna, kabhi bhaut pyaar karna, kabhi nafrat mein yaad krna....
kisiko jab batya pehali ye.... to usney jawab diya jindagi hai...

ansuon ka samandar kabhi, kabhi muskurati saam hai, kabhi daar ki raat aur kabhi ummed ki subah hai......
kisiko jab bataya pehali ye..... to usney jawab diya jindagi hai..

ragon mein behata khun, satta mein faila dharm, maan mein basi nafrat, tan sey lipta jehar.....
kisiko jab bataya pehali ye.... to usney jawab diya jindagi hai....

bacpan sey chali jawani, jawani sey budhapa..... aab aarhi hai maut saj key......
kisiko jab bataya pehali ye... to usney jawab diya jindagi hai....

mein jissey bhi puchta hun ye pehaliyan aapni... haar insaan hansta hai mujpey.......
jisko bhi bataya pehali ye.... to usney jawab diya jindagi hai...

aiseybhazaron sawaal ley key... kai baar jawab bhi khudh hi baan key, kai baar massom baccha kai baar saqt master bankey kadhi hai..
kisiko jab bataya pehali ye.... to usney jawab diya jindagi hai...

sahi hai sab to saawaal hi hai baas, baas ek pehali hain sab....
jawab to baas ek hai, baas ek hi jawab hai... jawab jindagi hai.
jawab to bas ek hi hai, bas ek hi jawab hai... jawab jindagi hai...
jawab jindagi hai.....

Monday, January 18, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 17 February 2016

A true portrait of life, nicely painted.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success