Fatehyabi-E-Ishiq Poem by Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

Fatehyabi-E-Ishiq

Ishiq mein qurbani ke liye sar chahiye.
Aur Fatehyabi ke liye hunar chahiye.

Dil lagaa ke dil ki laagi ko rote ho,
Ishiq mein mitne ke liye jigar chahiye.

Ho bi to ho kiase ishiq heer ranjhe sa,
Ishiq mein unke ishiq sa asar chahiye.

Ishiq ko hi banale ab to tu soohan apna,
Ashiqon ki kitaab mein nam agar chahiye.

Adawat ki bhari duniya mein jee lagta nahi,
Mehtab ko dil walon ki basti mein ghar chahiye.

Fatehyabi-E-Ishiq
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Copyright.(Don't copy) .
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

R/o Sagrawet, Tehsil Darhal, District Rajouri and State J&k, India
Close
Error Success