Fool Tool Kar Bikhar Gaye. Poem by Ajay Gusain

Fool Tool Kar Bikhar Gaye.

Fool tut kar bhikhre wo sabhi,
Dil-e-bag men khile the jo kabhi.

Anjaan bane firte hain wo aaj,
Mashhur kar gaye the jo kabhi.

Khayalon me hi ana-jana hai unka,
Saya ban kar chalte the jo kabhi.

Salah pyar na karne ki dete hain,
Pyaar kisi se karte the jo kabhi.

Raste v na jaane kho gaye kahan,
Ghar ko unke lejate the jo kabhi.

Door hain wo kahin ab juda ho k,
Aksar judai se darte the jo kabhi.

Rote to honge meri yaad men wo v,
Bewajah sine se lagate the jo kabhi.

Ruh reh-reh kar koshti hai us pal ko,
Jis pal kisi se jud gayi thi jo kabhi.

Mout k intjar men baithe hain wo aaj,
Zindagi se pyaar karte the jo kabhi.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success