Hansi Labo Par Aur Hazaron Dard Dil Mein Poem by Ritu Roy

Hansi Labo Par Aur Hazaron Dard Dil Mein

Hansi labo par aur hazaron dard dil mein sambhal rakhte he
Hum dil ko cheer ke sabdo mei dhalne ka kamaal rakhte he

Jeene ki chah mein toe sans leta he har sakhs-o-aam yanha
Hum fanah hone ki justazu tale aarzu-e-bemisaal rakhte he

Muddaton baad mile he jo hum marz-e-gum apne naseeb se
Tabiyat ko hum apni aajkal hum barf mein dhaal rakhte he

Wafa-parast parindon ki shaan jaan paya he kabh zamana
Hum sikko ki tarah apni aan aasman mei uchaal rakhte he

Zindagi jitni bhi be-dard hona chahe humei manzur hoga
Hum tabib ban kar apni tabiyat ka khud hi khayal rakhte he

- Ritu Roy
(Copyright Reserved)

Friday, April 25, 2014
Topic(s) of this poem: pain
COMMENTS OF THE POEM
Captain Herbert Poetry 25 April 2014

Unseen language from the heart. I feel this is Wonderful Please comment on my poems

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success