Har Manjil Kinara Nahin Hota Poem by Mohit Aggarwal

Har Manjil Kinara Nahin Hota

Kutch jindgiyan yaddon ke sahare bhi kat jati hey
Har kisi musafir ki rah mein musafir nahin hota.

Manjilein to bahut hein
Lekin har manjil khud mein kinara nahin hota.

Ye sach hey ki manjilon se rah milti hey manjil ki
Lekin manjil kisi ka sahara nahin hota
Lekin har manjil khud mein kinara nahin hota.

Ek rah pakad kar bekhauf chala chal rahi
Kuki sakhi ki maujon ka kinara nahn hota
Jo behta hey maujon ke bahav mein is kadar
Use manjil ka salam nahin hota
Lekin har manjil khud mein kinara nahin hota.

Manjil khud ginti hey use pane wale ko
Lekin har kisi ka ginna mukhatim nahin hota
Agar tune pa li hey manjil to
Isse badiya najara nahin hota
Har kisi ki kismat mein ye najara nahin hota
Lekin har manjil khud mein kinara nahin hota.

Rah mein jo bikhre hein kante bade
Hata diye jo tune unkon waqt pade
Lekin rah mein na dal unki kisi ki iss kadar
Kya pata vapsi mein tujhe vapas tujhe chunna pade
Bar bar vo kante hatana asaan nahin hota
Har kisi musafir ki rah mein musafir nahin hota.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Mohit Aggarwal

Mohit Aggarwal

Shahbad Markanda
Close
Error Success