Hum Hindostani..........! Poem by kaavyaa kriday

Hum Hindostani..........!

Hamein sadak kinaare mootne se na roko..
Hamein station par thookne par na toko..
Hum azaadi ka matlab jaante hain..
Aur khud ko poora azaad maante hain..
Khud ko niyamon mein dhal kar..
Aur apne man ko maar kar..
Hum mushkil se mili azaadi ko..
Vyarth na jaane denge..
Hum dridsankalp hain ke..
Apni aadton mein kabhi bhi..
Badlaav na aane denge..!
Hamein na samjhao…
Duty aur character ke kya arth hain..
Hum to poori duniya badalne mein samarth hain..
Aisa nahin, ke hmare iraade kamzor hain..
Ya usool sakht nahin hain…
Kar to hum kuch bhi sakte hain..
Bus hum HINDUSTANION ke paas waqt nahin hain…
Hum peaceloving aur imaanpasand hain…
Jise aap violence aur corruption kehte hain..
Wo to hamaare jeene ka dhang hai…
Hum sab kuch jaan kar bhi anjaan bane rehte hain…
Ye hum hi hain jo is jungleraj ko LOKTANTR kehte hain…!
Kaun hai poori duniya mein…jo humara saani hai..?
Hum apni tarah ke ekmatr hain…
HUM HINDUSTANI HAIN…..!

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success