Hum Kyu Bhule Ja Rahe Hain? Poem by imnt alive

Hum Kyu Bhule Ja Rahe Hain?

Ek pal mein masti ka gum jana

Vo dosto ke saath sham bitana

Vo chae ki chuski

Vo sehar ki gedhi

Vo circus mein bhallu ko chidhana

Aur phir chot lagne pe rote hue muma ke paas aana

Vo baraf ka gola

Vo makai ke daane

Vo luka chupi

Vo tangri laat

Vo paper mein rona

Apna sar khujlana

Phir paper khatam hone par jor se chillana

Hum kyu bhulre jaa rahe hain

Vo ek pal mein ruthna dusre pal maan jana

Hum kyu bhule jaa rahe hain

Hum kyu bhule ja rahe hain………………

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
imnt alive

imnt alive

jannat e hasin
Close
Error Success