Hum Tanhaiyo K Andhero Mein Pighalte Chale Gaye! Poem by kaavyaa kriday

Hum Tanhaiyo K Andhero Mein Pighalte Chale Gaye!

....dooriyo ne paigam bheja unhone kaha humse aake mil....

kya kahein jab vo hi nahi samajh paaye ye haale dil...

zindagi k raaston se fisalte chale gaye

hum tanhaiyo k andhero mein pighalte chale gaye....


....kasoor unka nahi vo to aaye the hume manaane

kitna chahte the hum unko ye vo kya jaane....

aansu in aankhon se nikalte chale gaye...

hum tanhaiyon k andhero mein pighalte chale gaye...



....waqt ka dastoor tha ya thi kismat humari...

jo rishto k maayene badalte chale gaye.....

zindagi k raaston se fisalte chale gaye....

hum tanhaiyon k andhero mein pighalte chale gaye...



....tammanao ka jahaa jo is dil mein kabhi basta tha..

un sapno k kaatil hum bante chale gaye.....

zindagi ki raahon mein fisalte chale gaye.....

hum tanhaiyo k andhero mein pighalte chale gaye...



....manaaya bahut humne is dil ko aur khud ko unse door kar liya..

par jab bhi hum door hue...khuda ne unko majboor kar diya.

vaapas aaye vo lautke jab unke bina hum jeena seekh gaye...

zindagi k raaston se fisalte chale gaye

hum tanhaiyo k andhero mein pighalte chale gaye....



....vo chand jo khush tha apne aasman k jahaan mein..

us chand ko paane ki chahat hum kyu kar baithe......?

jaante the hum k vo ho nahi sakte humare..

fir bhi ye mohabbat kyu kar baithe...?

in sawaalo k jawabon k liye taraste chale gaye...

hum tanhaiyo k undheron mein pighalte chale gaye...



....soch liya humne k ye dil ab kisise na lagaayenge...

par jinse dil lagaya vo humein bahut yaad aayenge...

vo lamhe to har pal guzarte chale gaye...

aur hum tanhaiyon k andhero mein pighalte chale gaye......

COMMENTS OF THE POEM
Shagun Khera 14 December 2009

wow! ! what a write! !

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success