Wo kah gaye......
Humara Intejar na karna....
Tut ke mujhse yun pyar na karna....
Main to hawa ka jhonka hun....
Baha le jaunga Apni dhun me....
Kavi thama to suno.....
Mujhpe aitbar na karna.....
Main mausam hun meri lat na lagao....
Badal Jana meri fitrat hai....
Mujhse pyar na jatao......
Main sagar ki moujhein hun....
Mujhe sahil na Mila.....
Jane kitne raste chala.....
Koi rahil na mila......
Tu mujhse Milne ki pyas na jaga......
Bhul ja mujhe yun Milne ki aash na laga....
Kavita
bahut hi sundar rachna 10++ awesome lines.. Main mausam hun meri lat na lagao.... Badal Jana meri fitrat hai.... Mujhse pyar na jatao......
Wah Wah Kya baat hai Kavitaji.... Is badalti hui duniya mein sab badal jaata hai siway pyar, rishton ka aur naaton ka.......100+++
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
wah, ....excellent poem.. bahuth badhiya..maza aagaya padhne me...