Jeevan Ki Sachayee Poem by Shrini Deewana

Jeevan Ki Sachayee

Jaago insaanon ab tum sab jaag jaao,
Aur jeevan ki sachayee ko tum pehachan jaao,
Jab tak chalti hai saansein hasti tum kehalate ho,
Jaise hi tham jaaye saansein laash tum kehalate ho.

Akela hi aage is safar mein hai tumko ab jaana,
Kisi bhi rishthe ko saath tumahara nahin ab hai aana,
Ab aaj hi saare rishtey hai tumko kho dena,
Chahe beti ho biwi ho ya tumahara beta.

Jo kamaya jo kuch paya sab chod yahin tum jaoge,
Khaali haath hi aaye the jag mein khali haath tum jaoge,
Karam jo tumne kiya tha ab who chalegi saathi bankar,
Ab woh raah dikhayegi tumhein tumahara humrahi bankar.

Jo bhi aaye the tumhein ghat pahunchane,
Koi mudkar bhi tumhein nahin dekhenge,
Choot gaya hai ab sab saath tumahara,
Jo bade pyaar se tumne tha sawara jag mein.

Jise tumne pala tha pyaar se aaj aag wohi tumhein lagayega,
Aag lagate hi kuch hi pal mein tumhara yeh tan bhi jal jaayega,
Jalkar raakh ho jaoge to hasthi nahin asthi tum kehalaoge,
Aur asthi bankar tum to behate paani mein mil jaoge.

Choot gaya hai aaj is dharti se tumhara rishta sara,
Sab kahenge swargawaas ho gaya bechara,
Rote hue tum aaye the is jag mein,
Ab sab ko rulakar tum is jag se jaoge.

Sab ka rona hai bas kuch hi dinon ka,
Kuch dinon mein sab ke aansoon sukh jaayenge,
Lag jaayenge sab apne jeevan ki daud mein,
Aur tumhein to sab bhool jaayenge.

Yeh jeevan hi yaaron hai ek moh maaya,
Jo kuch tumne paaya yahin par hai paaya,
Jeevan ki is sachayee ko jo samajh paaya,
Woh kabhi is moh maya ke chakkar mein na aaya.

Yehi jeevan ki sachayee hai yaaron,
Is sachayee ko kabhi na tum bhoolo,
Jo bhi karam tum karo bas acha hi ho,
Is baat ko kabhi nahin tum bhoolo.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success