Pyaar Ki Pehali Holi Poem by Shrini Deewana

Pyaar Ki Pehali Holi

Apne haathon mein le aayenge hum thoda sa gulaal,
Gulaal se hum laal karenge sanam tumahare gaal,
Ho jaaye jab gaal laal tumahare hum honthon tak tere aayenge,
Lekar tere honthon ko apne honthon mein hum uski laali ko apnayenge.

Tere honthon ke ras mein hogi nasha madira se badh kar,
Kise chahiye nasha doosri jab milti hai woh humein tumse,
Choomenge hum tere honthon ko jab tak mitthi nahin meri pyaas,
Kitne dinon se pyaasa hoon na jaane kab bhujegi meri pyaas.

Aaj ghadi hai milan ki aayee is holi ke shubh avsar par,
Kaise rahoon mein bina bahon mein liye tujhe,
Tadap utha hai mera dil ai mere dilbar,
Itne dinon ke dil ke tadap ko aaj mujhe mitana hai,
Tere hi sang mere pyaari holi mujhe manana hai.

Rang doonga mein tere pure tanko duniya ke har rangon se,
Bheegegi ab teri chunariya sanam mere pichkaari se,
Aaj karenge itni masti ke ye holi sada rahegi yaad,
Apni pehali holi ko jeevan bhar kaenge humtum yaad.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success