Jhuki Hui Nigahein....... An Urdu Poem Poem by Vikas Sharma

Jhuki Hui Nigahein....... An Urdu Poem

Rating: 5.0


Nigahen jhukti hai pyar mein
Nigahein jhukti hai iqraar mein
Sharam-saar ho kar bhi nigahein jhuk jaati hain
Ya kisi ke intezaar mein bhi palkein bicch jaati hain
Humney dekhi hai izzat mein jhukti nigahein
Sazdon mein bhi sabki jhukti hain aankhein
Wajahaat chahe kuch bhi rahi ho jukhi hui nighaon ki
Jhuki hui nihgaein ilamat hain Aajazi aur Inksari ki
Jhuki hui nigahon ne hamesha kisi ka ehtraam kiya hai
Khud ko jhukaya hai doosre ko buland kiya hai
Phir meri jhuki nighaon par kaisa swaal saqi
Meri ankh main bhi hai aajazi abhi baaki

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
The Great Ghalib Administrator, My Dear Friend, Pt. Shashi Sharma Ji, Organized today a poetry comiplation on Jhukhi Hui Nigahein Topic.... I am supposed to be last to comment... here is my proposed contribution 8th January 2013
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success