Kab Tak Karein Hum Intezaar Poem by Shrini Deewana

Kab Tak Karein Hum Intezaar

Tere intezaar mein mujhe har pal lage jaise ho sadiyan,
Tere sangat mein guzaare sadiyan bhi lage mujhe ek pal,
Tujh bin har pal mujhe lage jaise ho koi sazaa,
Aise dard bhari jeevan ab jeeya na jaaye sanam.

Bahut waqt guzar chukki hai sanam tere intezaar mein,
Ab mujhse saha jaata nahin woh gham tere intezaar ke,
Har pal mujhe bas khat khaye jo pal bitaye intezaar mein,
Pata nahin kab hogi khatam sanam ghadi tere intezaar ki.

Jab karti nahin tu intezaar, to woh dard tujhe kya hogi khabar,
Jo dard jhele hain is dil mein maine, woh bhala tujhe kya hogi khabar,
Tu samajhti hai main hota hoon khafa, jab der se tu aati hai,
Par tu kya samjhe main khafa nahin, mere dil kar dard tere saamne aati hai.

Mujhko tujse koi ruswa nahin hai, na koi shikwa na koi gila,
Jo karta rahein tera intezaar har pal woh shikwa kaise karega bhala,
Ai sanam mujhe tu aur na tadapa is intezaar ke ghadiyon mein sada,
Sehane ke taakat kam ho gayee hai, aur bad gayi hai dil mein dard mera.

Ab sanam mein mangta hoon bas haath uthakar yehi duva,
Ai Khuda mere sanam ko tu ab mere paas laa de zara,
Aur na rakh tu use door mujhse aur mila de mujhse zara,
Yeh agar mumkin nahin hai to humko utha le is jahan se zara.

Jis jahan mein milna hi nahin hai us jahan mein kya jeena bhala,
Kab tak sahen hum yeh judai, kab tak karein hum intezaar,
Bas dard bhare yeh jeevan ke jeene mein kya hai mazaa,
Ai khuda tu reham kar aur humein mila de, ya utha le humein is jahan se zara.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success