jane main kaise muskurau
jane main kaise gungunau
hansi kho gayi hai kahi
kaha se ja kar usse dhund lau
ek aansu jo chalka tha aankho se
kahin dur koi sapna tuta hoga
main to chup hu khamosh hu
kahin to koi dil tuta hoga
jitna b samey mila
is intezar mein
main khamoshi se safar karta raha
ab jab manzil hi nai
to safar musafir kya kare
kahin to koi yaad karta hoga mujhe
kahin to mera naam addeb se liy jat hoga
jis rah chale the hum lakin
kisi modh par koi intezar karta to hoga
koi tanha nai is duniya mein
saanse chalti hai har kisi ke sath
lakin
kahin to safar khatam hota hoga
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem