Kal Dange Hue The Sheher Mein Poem by Ghanshyam Karan

Kal Dange Hue The Sheher Mein



aaj subah kuch ajeeb hui thi
main bazaar mein sabjiyan le raha tha
sab apne haal mein mast the
kuch sir par bhagwa bandhe jai shree ram ka hunkaar le rahe the, kuch
allah ko pukaar rahe the
abb khuda kaho ya bhagwaan woh kiski sunta?
pyaasi nangi talwarein khoon ko taras rahi thi
goliyaan har kisi ko cheerne ko baitab thi
sasta kerosin haule se tezz aag pakad raha tha
soyi hui maa ghaar mein jal rahi thi
chaaro aur laptein thi, khoon ki lehrein
safed kapde abb rang birange ho gye the
laal rang abb chaaro dishaon mein faila tha
deewarein khoon se sann thi, surkh laal
kuch minuto ka tamasha saalo ka rona gaya
sadkein khali thi, ghar khali the
mazhab ke naam ki aandhi aayi or sab kuch ujhaad le gayi
mujaffarnagar mujahidino ki bhaint chadd gaya
ek sheher do bhaago mein bant gaya
jinka kuch nahi gaya woh rajneeti kar rahe the
jinka sab kuch gaya woh kone mein ro rahe the
bhagwan insaan banata gaya or hum majhab
kal dange hue the mere sheher mein...

Saturday, May 24, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
this is dedicated to every victim of riots
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
1 / 1
Close
Error Success