Kamana Aur Sadhana Poem by ramesh rai

Kamana Aur Sadhana

Mai aur meri kamana
dono sath sath chalte
kamana mar jaati hai
par mai nahi marata


ek sadhana se jura hun
ek kamana se jura hun
sadhana aur kamana dono sagi bahne hai
sadhana
kamana bin nahi hoti
kamana
sadhana bin nahi hoti

dono ek dusre ke purak hai
koi kamana karta hai
koi sadhana karta hai
koi nitya aaradhana hi
karta hai
koi nitya pratarana hi
karta hai

hamara aur tumhara milan
jo kabhi astya tha
satya hi patwaar thaa.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success