Jo mai kavita likh pati
to khol kar rakhti apna man
karne ko kitni baatein
kahne mein kitni uljhan.
Ek kona bhara samvednaon se,
dusra-rikt, supt, achetan.
bunti hun main kahe bina hi
mera gupt avchetan.
kalpnaon se bhara gagan
kabhi koi komal spandan
kabhi kahin koi talkh sachchai
jeevan jeena ki ye chubhan,
is chubhan ka ban jana
kabhi umang ka saswar gunjan
kath-akath ka ye jeevan.
jo mai kavita likh pati
likh pati main jo yeh sab
uker kar bhaavon ko panno par
khol kar rakh sakti mai apna man
par
karne ko kitni baatein
kahne mein kitni uljhan
kath-akath ka ye jeevan
kath-akath ka ye jeevan.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
A sublime start with a nice poem, Bandani. You may like to read my poem, Love And Lust. Thank you.