Khuda Se Ek Dua Poem by Shrini Deewana

Khuda Se Ek Dua

Rating: 4.0

Ai khuda tera bhi koi jawab nahin,
Kitna haseen banaya hai tune yeh jahan,
Chand karti hai roshan jahan ko raaton mein,
To din mein suraj se hoti hai roshan tera yeh jahan.

Jhilmilate rehate hai tare sada gagan mein tere,
Mitti ke meethi sugandh tere pehale varsha laati hai,
Indradhanush chaa jaati hai neel gagan mein tere,
Suraj ki kiran varsha ko jab apne gale lagati hai.

Kya mohabbat banayee hai tune dharti amber mein,
Door hokar bhi woh karte hai pyaar ek duje se,
Dharti amber ka rishta bhi hai bahut hi mahaan,
Unki kalpana ke Milan ko Kshiteej kehati hai jahan.

Kya mohabbat banaya hai tune sagar ke leharon aur kinaron mein,
Leherein aakar kinare ko choom kar laut jaati hai,
Yeh jaanti hai leherein ke kinare se Milan uski naamumkin hai,
Phir bhi machal thi hal leharein kinare ki hi yaadon mein.

Itne mohabbat bhari rangeen duniya mein ai khuda,
Tune aisa ek jeev kyon banaya jise kehate hai insaan,
Dil aur dimaag kyon di hai tune is insaan ko,
Us dil aur dimaag mein nafrat kyon tune paida hai kiya.

Bas ek baat mein tujhse puchna chaoon ai khuda,
Ho sake to mujhko tu itna bata de zara,
Kyon banayee hai tune mazhab naam ka ek shaitaan,
Jis par ladta hai aaj duniya ka har ek insaan.

Ai khuda soch hota kitna haseen tera yeh jahan,
Agar mazhab tune nahin banaya hota yahan,
Pyaar mohabbat se hoti kitni rangeen yeh jahan,
Agar tune paida nahin kiya hota mazhab naam ka ek shaitaan.

Ai khuda tujhse karta hoon mein bas ek dua,
Is jahan se mita de tu mazhab naam ka shaitaan,
Bas ek mazhab se bhari rahe tera saraa jahan,
Jis mazhab ko pyaar mohabbat kahe yeh saara insaan.

Le li hai bahut se jeevan mazhab ke naam par tune,
Ab humein pyaar mohabbat se jeene ka ek mauka de de,
Kar di hai laal is dharti ko tune lahu se insaan ke,
Ab humein apne ashkon se is lahu ko mitane ka ek mauka de de.

Is haseen duniya ko banade tu pyaar se rangeen,
Bata de tu duniya ko pyaar mohabbat nahin hai namumkin,
Jaisa pyaar banaya hai tune dharti amber mein,
Aisa hi pyaar tu jaga de har ek insaan ke man mein.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 22 August 2016

Aameen....Wah bahuth badhiya kaha hai aap ne...

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success