Khwaab Aur Sapne - Do Alag Pehlu.. Poem by abhilasha bhatt

Khwaab Aur Sapne - Do Alag Pehlu..

Rating: 5.0

Wo khwaab hi to hain
Jo haqeeekat tak ka safar tey karte hain
Sapne to aksar toot jaya karte hain
Khwaab aksar hanseen hote hain
Aur jo nhi hote wo taqleef utni nhi dete
Jitni taqleef sapnon k toot jaane par hoti hai
Aksar khwaab ajnabi hokar bhi apna hi lgta hai
Sapne to apne hokar bhi paraye ho jaate hain
Chot itni khwaabon k tootne se nhi lagti
Jitni chot sapnon k toot jaane par lagti hai
Khwaab zindagi dete hain
Aur sapne bhram dete hain
Khwaab aankhe khol kar dekhe jaate hain
Shayad yahi wajah hai ki khwaab chot nhi deke jaate
Sapne to aankhen band kar k hi dekhe jaate hain
Yahi wajah hai sapnon k toot jane par chot lagte ki
Khwaab sambhalne ka mauka dete hain
Aur sapne girne ka tootne ka bahaana dekhte hain
Khwaabon ki koi keemat adaa nhi karni padti
Aur sapnon ki to zindagi bhar kishtey hi adaa krte reh jaate hain
Khwaabon ko dekhne ka Koi waqt tey nhi hota
Jab mann jahan man kia dekhlia
Sapne to apni marzi k maalik hote hain
Sapnon ka Jab mann kare tabhi to aate hain
Islie khwaab mujhe spnon se kain zyada behtar lagte hain..

Saturday, January 9, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 10 January 2016

ख़्वाब और सपनो को आपने संतुष्टि एवम् असंतोष के मनोभाव को साथ जोड़ कर कदम कदम पर जीवन को परिभाषित करने का सुंदर प्रयास किया है. इस प्रकार ख्वाबों और सपनों के माध्यम से मानवीय संबंधों की अनेक गुत्थियों को सुलझाने की इमानदार कोशिश भी दिखाई पड़ती है. Khwaab aksar hanseen hote hain / Aur jo nhi hote wo taqleef utni nhi dete Khwaab zindagi dete hain / Aur sapne bhram dete hain Sapnon ka Jab mann kare tabhi to aate hain Islie khwaab mujhe spnon se kain zyada behtar lagte hain..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success