Kis Ki Khatir Kar Gye.. Poem by abhilasha bhatt

Kis Ki Khatir Kar Gye..

Rating: 4.3

Sab to khafa they hi hamse
Ab tum bhi khafa ho gye
Baki sab to anjaan they hi hamse
Ab tum bhi anjaane ho gye
Thode they sab ne rishtey hamse
Ab tum bhi hamse rishta tod gye
Shikwe they sabko hazaaron hamse
Tum bhi shikayaton ka sira thama gye
Dhokebaz to hazaaron mile hamse
Ek tum aur us ginti main shamil ho gye
Ilzaam to betahaasha lage gale hamse
Naya ek ilzaam tum hame ataa kar gye
Ghamon ki to hamesha bani hamse
Ek gham ka rishta aur tum bhi sawnp gye
Seher to ruswaa thi hi hamse
Shaamon ko bhi hamse ruswaa tum kar gye
Tadap to beintehaan thi zindagi ki hame
Tum hame marne ki ek wajah aur de gye
Dard ka rishta to purana tha hamse
Tum dard ka aur mera maraasim aur ghehra kar gye
Taane to zamaane ne taaumra jee bhar k die hame
Naye aur tanz kasne ki nai wajah kain de gaye
Tootkar bikhrna to sikhaya hai jeevan ne hame
Tum bikharkar tootne ki tarqeeb de gye
Roshni to kam thi door hamse
Ab andhere bhi hamse door ho gye
Chand bhi amaawas main chupa tha hamse
Tum suraj ko bhi kahin chupa kar hamse chale gye
Kaante to raahon main bhari thi hamare
Tum kuch aur kaanton ki ladi laga gye
Taalluk to kisi se bhi na tha mera siwaye tumse
Tum mujhese hi mera taalluk tudwa gye
Shayad tum dost nhi they hamare
Magar raqeeb kyun ban gye
Jo kisi apne se gair bane ne na kia
Wo tum kyun kar gye
Mera haal murdon se bhi badttar kar gye
Kyun tum aisa kar gye
Kis ki khatir kar gye..

Saturday, January 30, 2016
Topic(s) of this poem: betrayal,love and life,pain
COMMENTS OF THE POEM
Mithilesh Yadav 30 January 2016

Tum dard ka aur mera maraasim aur ghehra kar gye Taane to zamaane ne taaumra jee bhar k die hame Naye aur tanz kasne ki nai wajah kain de gaye Tootkar bikhrna to sikhaya hai jeevan ne hame Tum bikharkar tootne ki tarqeeb de gye ..... Speechless........ Best......... Emotion princess

0 0 Reply
Rajnish Manga 30 January 2016

प्रेम में यह कौन सा रूप है? पहले तड़पन और फिर शिकायत, और वह भी इतनी शिद्दत के साथ. Tum mujhese hi mera taalluk tudwa gye Mera haal murdon se bhi badttar kar gye Kyun tum aisa kar gye

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success