Kuch Khaas Nahi Poem by Hindi Rap Soldier

Kuch Khaas Nahi

Rating: 4.5


Ghar ki diware katne ko dorhe mujhe sda
Ghar walo ki njr mein aj bhi hun mai gdha
Kyuki rahu band kmre mein likhta rehta bas geet
Aur kuch khu to abi geet ka shuru hai sma
Dimag se yudh pehchan meri hai gupt
Rishto mein an bn dekhi aj tk pyar jese h lupt
Hasil mujhe bs pratiba iske share mai jeeta
Jnm se pkda greebi ne hona chahu mukt
Hum tere sath h milte dilase ye sub jhanse
Bigad gya hun jodun hath mafi mangu maa se
Hai na pachtava apne galt kamo ka mujhe par
Gine chune h log jo mere gane apnate
Zindagi mare h thapad krta bs agey gaal mai
Khane ki thali mein jayadatar dekhu ik hi daal
Baap kose h khud ko hall bahut behal hai
Din me kmana raat ko bhukh puche swal.

Jo dekha h mene wo hi mai gaa rha hun
Jo kiya h mene wohi suna ra hun
Jo jiya h mene wohi bta ra hun
Nam juban se mai sbko rula ra hun.
Koi khe mai khrab koi khe dil ka sacha
Aisi jwani se acha rhta ik chota bacha
Masti me rhte na nibhana koi farz hota
Na koi gam na chukana koi karz hota
Kapdo ki ik jodi aur nikalu sara hafta
Peso ko jod jod kr han mai rec. Karta.
Phr b kehte h log tere gano mein dum nahi
Dhnyawaad krunga sudhar itna mai kehta
Shaam hoti jaise hi yaro ka hazum mile
Kuch karte faltu kuch apne sunate hai gille
Sbse khamosh chup chap reht mai bich khda.
Puchte kya bat hai kuch khas nahi.
(wohi din wohi raat kuch khaas nahi, wohi baat wohi yaad kuch khaas nahi, wohi main wohi aap kuch khaas nahi, wohi halaat wohi geet likhne ka mza)

Its a link of my song - kuch khaas nahi

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Apni zindagi ke bure din se kaise lad raha hun kya parbhav pad raha mujhpe. Aur kya hai meri zindagi.
COMMENTS OF THE POEM
Manish dhaka 31 March 2020

sir aapki lines mai alne rap song me le rha hu agar aapko koi etraj hai to call me 9983610438

0 0 Reply
sameer Khan 20 March 2019

Sir I want This Lyrics

0 0 Reply
Vishal Sharma 14 October 2015

great ink

2 0 Reply
Vakchhandak Vivek 22 February 2015

Atulniya

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success