kuch to log khenge, logon ka to kaam hai khnaa.
fir bhale bure k asmanjas ki, vyarth hai sudh lena,
kuch to log khenge, logon ka to kaam hai khnaa....
chaand agar sunta sabki,
kya wah nabh me tikk pata?
nadi agar sunti sabki,
kya wah aage badh pati?
fir tujhe kyun hai bhay kisi kaa?
jab sudh nahi kisi ko teri..
kuch to log khenge, logon ka to kaam hai khna....
kanton par chal kar, tujhko aage badhna hai.
nirbhay bann kar, har mushkil se ladna hai.
manjil ko paa kar, khud ko sabit krna hai.
fir dekh is dunaiya ko..kaise smmanit krti hai...
logon ka kyaa hai, inka to kaam hai khna..
kuch to log khenge, logon ka to kaam hai khnaa.....
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem