Kyun......Kalo K Liye Aaj Ko Rondte Ho? Poem by Rishi Thakkar

Kyun......Kalo K Liye Aaj Ko Rondte Ho?

Kyun apne alfaazon se dil kuredte ho haiwano ki tarah..
Humne tumko chaha hai chahne Walo ki tarah...
Kyun har baar purani baaton ke taan cheeda karte ko
Kyun asantosh bhavnaon se har par khudko dekhte ho..
Humne to nyochavar kiya hai khud ko tumpar..  
Kyun dil ki bhavnaon mein avivaas k keede ko bote ho..

Humne to har pal har lamhe ko yaadgar banana chaha hai
Har dua mein rab se tumhari khushi ko manga hai..
Humare dil k har armano ka gala dabochte ho..
Kyun apne dil ke sankocho ko puchkar kar pyar ka daaman rondte ho..

Main tumse mohhabbat karta hun
Tumhari har khwaish puri karne ko jeeta hoon
Tumhare har ek Sparsh ka ehsaas mann me ek daivya murti ki tarah sajaye rakhta hoon..
Par jab sunta hoon Tumhare kataksh..
Sach kahun kyun chahta hun tumko itna khud se Pooch ta hoon..

Tumhari shikayaton ka tatparya tumhare mann k vehem se hai..
Par Inn vehemo mein khud ko bechare bann k vaastav mein hum ko khoo doge ye mera vachan hai..

Aasan nahi hona kisi ki khaamiyo ko aankhen mund unhe mohhabbat karna..
Agar koi karta hai ye tumhare liye Samaj jaao Iski ahemiyat varna...

Duniya mein lakho prem karne waale nahi Milte
Hazaron log sath hai par ek dooje se pyaar nahi karte..
Jo ishwar ne diya hai pyaar ussko pyaar karo..
Kuch purani baaton ki tur turi k taan baja k aaj aur aane waale kal ko na barbaad karo...

 

Thursday, January 21, 2016
Topic(s) of this poem: heartbreak,love,pain
COMMENTS OF THE POEM
Randhir Kaur 13 May 2016

Waooo...absolutely amazing... Bhohot achi tarah se aapne emotions ko express kiya hai..well done..

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 21 January 2016

Zaroori nhi ham jise chahen wo bhi hame chahta hoga Zaroori nhi ham jise apna maane wo bhi hame apna maanta hoga.....beautiful poem....thank u for sharing :)

0 0 Reply
Rishi Thakkar 21 January 2016

Vastavikta aur antarman ka rishta dard se hi paripurna hota hai :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success