nazarien mujhse yu tum churati rahi hamesha..
aankhon me meri tumne agar dekha hota..
to tum jan jati k main kya chahta hu.
bato ko bhi meri ansuna kiya tumne..
isharo ko mere agar samjha hota..
to tum jan jati k main kya chahta hu.
sath mere tum chali nahi kabhi..
ek lamha mere pas baithi hi hoti..
to tum jan jati k main kya chahta hu..
pal bhar me bhula diya tumne jo zindgi thi meri..
agr tumne bhi mujhse kabhi dil lagaya hota..
to tum jan jati k main kya chahta hu..
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem