Mehara Pati Poem by shambhu nath

Mehara Pati

Aaj subah mai ek aadami ko apani patni ke aage girgirata dekha to mujhe likhana para/////


Meri ram kali too kaha chali
Mai peechhe-peechhe aataa hoo
Jab too kahati mera pair dard
Mai haldi tail lagata hoo
Andar bahar ka kaam karoo
Fir bhee bhau-bhau karti hai
Ghar walo ko kya kahoo
Mujhase bhee too jalati hai
Kich-kich pich-pich sabase karti
Jo sir par tujhe bithata hoo
Jab too kahati gulab jamun
Jhat bazaar se lata hoo
Basi taji jo bhi deti
use pyaar se khata hoo
Meri ram kali too kaha chali
Mai peechhe-peechhe aataa hoo
Jab dekho lali lipistik
Power khoob lagati ho
Gali me jitane ghoome larke
Unako roj patati ho
Itana jo hoo seedha sadha
Tabhi too dhaush jamati ho
Jab dekho tab baith dwar pe
Doodh jalebi khati ho
Sone ko jab tum jati ho
Bistar mai lagata hoo
Meri ram kali too kaha chali
Mai peechhe-peechhe aataa hoo
Tay-tay too karti rahati
Bartan bhee majawati ho
Gar mai bhee kuchh uncha bola
Dand baithak too lagwati ho
Mai teri na karoo pitayee
Mai bhee tujh par marta hoo
Jab maike ko tum jati ho
Mai bhee aahe bharta hoo
Mujhako chhor me ab mat jana
Mai tera pair dawata hoo, ,

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shambhu nath

shambhu nath

Pratap Garh Uttar Pradesh
Close
Error Success