Mehfil E Gul Poem by shoaib Shaikh

Mehfil E Gul

Rating: 3.5


Mehfil-e-gul na gulshan ki qeemat jaante hain
Hm musafir-e-sehra khuda ki qudrat jaante hain

Saansen bhi qaridi'n hm ne paani bhi qaridaa
Hai cheez kiski, kiski hukumat jaante hain

Is daur me jeene ka hr hunar hai maalum
Kya hai saazish, kya dosti ki alaamat jaante hain

Faqt naam hi ke hum reh gaye aabid
Kyun khafa hai hm se teri rehmat jaante hain

Haath dua ko jb b uthe tere saamne uthe
Kaun hai sahib-e-rahmat-o-azamat jaante hain

Tanhaa hi zindagi se safar krna hai TAHA
Wo Buzrogon ka qaul wo nasihat jaante hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success