Na Kabhi Kiya Maine Ye Bayaan Poem by Anik Sheth

Na Kabhi Kiya Maine Ye Bayaan

na kabhi kiya maine ye bayaan...
hasi mein teri goonjti jannat ki baarish
aankhon mein tere basta hai ek jahaan
mile tu mujhe kabhi, unkahi hai khwaish

na kabhi kiya maine ye bayaan...
teri alhad addao ne layi hai subaah
teri muskaan ke aage baki sab dhuaa
saya banunga tera, tu bole tab tak

na kabhi kiya maine ye bayaan...
meri naav bhi sahil ko hai tarasti
tujh se milna, na din na raat yahaan
ye palbhar ki khushi, ashk banke behti

na kabhi kiya maine ye bayaan...
kya karu, majboor hoon, par hara nahi
milna-bicchadna, bichhadna-milna raas na ata yahaan
isliye tumhe khush kar, jeeta hoon tujhme kahin...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success