Mein kalpana nahi kar sakti tumhari Sahas ki,
Nahi kalpana kar sakti tumhari Aatma-Vishwas ki,
Nahi kalpana kar sakti tumhari Drad-Nishchay ki,
Nahi kalpana kar sakti tumhari anokhi soch ki,
Nahi kalpana kar sakti tumhari kamyabi ki,
Nahi kalpana kar sakti ki tum aaj humare beech nahi ho,
Tumne Asman ko jhukaya,
Taaron ko apane bus kar diya,
Apane sapano ko haqeeqat ke pankh lagaye,
Kalpana tumne apane har ek kalpanao ko sakar kiya.
Is Kalpana ko Mera Koti Koti Pranam! !
(Dedicated to Indian- American Astronaut - Kalpana Chawla)
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem