Plz Comment Poem by kaavyaa kriday

Plz Comment

Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey wohi donno jo bhegee reet per ek dosarey ka haath thammay door taak kabhi hansttey, kabhi kuch gungunattey ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki goodh may ropposh honay walla sooraj dekhttey ansoo bhahattey loat jattey! Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay jo attay thay to apnay saath kitnay khuwab lattey thay kabhi sahil say dehairoon Seepiyaan chunttey thay Nangay paoo pani may challey attey thay bhegi reet say nannay gharondhay bhi banattey thay aur unmay seepiya, rangeen say kuch sangreezay yu sajattey thay kay jaisay aj kay jugnoosay lamhay anay walley kal ki moothhi may chupattey thay! Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay mager samander nay khiza ki siskiya laiti howaa ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta phir ussnay dair sarey khaat buhut say phool sookay aur tasveerayaur apnay akhri ansoo samander kay hawalley kerdiyey..

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success