Prashn Poem by Dr.Sushila Gupta

Prashn

kab tak karoge is dharti par,

nari ka tum yun apman?

Kya gyat nahee! tumko manav?

Bal se hi banta balvaan.

Uski shakti se hi tum,

Bane hue ho shakti-maan.

Janani ke athak parisram se hi,

Prapt kiya yeh keerti-maan.

Nij raktsudha se sinchit kar,

Bana diya jisne mahan.

Usko hi abala sambodhit kar,

Mita rahe uski pahchan.

Mana kit um purush jati ho,

Par iska hai kyun abhimaan?

Purushatva tumara karm nahee,

Yah to srasti ka hai vidhan.

Isase avalambit hokar tum,

Kahate ho khud ko kyu mahan?

Kab tak karoge is dharti par,

Nari ka tum yun apma
( nari)

COMMENTS OF THE POEM

A ‘poem' of no substance

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success