Rahnuma Lagte Hain Bazaari Hamein By Rekhta Pataulvi Poem by Rekhta Pataulvi

Rahnuma Lagte Hain Bazaari Hamein By Rekhta Pataulvi

Uff Kahan Laaee Ye Bezaari Hamein
Jeeti Baazi Lagti Hai Haari Hamein

Khatm Karna Hai Sitamgaari Hamein
Hausla De Rahmate Baari Hamein

Maharbani Daur-e-Hazir Ki Naa Poochh
Jhoot Bhi Lagta Hai Fankaari Hamein

Jaante Hain Sab Ke Achchhi Shay Nahin
Kyon Pasand Hai Phir Adakaari Hamein

Zulf-e-Jamhoor Aaj Hai Uljhi Huee
Rahnuma Lagte Hain Baazaari Hamein

Ilm-O-Danish Aagahi Ke Daur Mein
Ujli Lagti Hai Siyahkaari Hamein

Bewafa Kahte Hain Hamko Bewafa
Koi Sikhlaaye Wafadaari Hamein

Kya Basirat Chhin Gayi Aye Rekhta
Haq Ke Badle Milti Hai Khawaari Hamein

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success