Raja Aur Pholanrani Poem by Harmeet Saluja

Raja Aur Pholanrani

Aao dosto sunao ek choti si dinchak kahani,
Ek tha Raja aur ek thi daku Pholanrani,
Ek din Raja gaya sabji karid ne mandi,
Vaha pe aayi Pholanrani aur ho gayi nakabandi,
Raja Pholanrani ko dekhkar jor se bola,
Kahe ko tune chor bazari ka dhaba khola,
Pholanrani ne jaise hi bandukh dikhai, Raja ne kaha,
Tune jo na kaha wo main sunta raha,
Itne me jane kaha se Mogambo aa khada hua,
Aate hi bola Mogambo khush hua...

Mogambo ne Pholanrani se kaha apne sare hathiyar aur mal dedo,
Pholanrani haskar boli kyu de, kya tu hai koi bebo,
Mogambo ne Pholanrani ko chtaa maara gusse me aakar,
Pholanrani giri Raja ke baaho me jakar,
Raja uski aankho me kho gaya,
Are mamu usko pyar ho gaya,
Raja phir utha Mogambo ko marne ke liye,
Mogambo ne bhi banduk uthai Raja ko marne ke liye,
Raja khud ko Sunny Deol samajke aage bada,
Mogambo b apne aap ko Salman samjke aage bada..

Par are Raja ko goli lagi hi nahi,
Kyu ki goli banduk me thi hi nahi,
Phir Mogambo ko yaad aaya,
Ki wo goli lutane to aaya,
Raja ne ki khub pitayi,
Aur Pholanrani ki ho gayi sagayi,
Are Raja ke saath nahi, Mogambo ke saath,
Pholanrani ko pyar hua Mogambo ki adao ke saath,
Ab Pholanrani hai Mogambo ka gang me,
Aur Raja ban gaya bhai bole to shortcut me,
Thi na ek dhinchak kahani,
Meri zubani...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success