Raksha Bandhan Poem by Shrini Deewana

Raksha Bandhan

Jo karti hai nichavar ek maa ki mamta tumpar,
Aur sada rehati hai sang tumahare ek sakhi bankar,
Jo path jadd rahon mein tumhein bhatakne na deti hai,
Woh sakhi aur koi nahin woh to hai pyaari behana.

Jisne tumhein maa ka dulaar diya aur dher saara pyaar diya,
Tumahare ek khushi ke khatir jisne apni khushiyan tyaag diya,
Jho dukh khud par jhelegi tere aankhon mein aansoon aane na degi,
Jo chahati hai sada khushiyan teri woh hai bhai pyaari behana teri.

Saare gehanon se bhi jo keemati hai woh to hai pyaari behana,
Behan ki keemat wohi jaane nahin jiska duniya mein koi behana,
Jin haathon mein raakhi sajti hai woh bade khush naseeb hote hai,
Mere sooni haathon ko bhi shayad sajane aaye koi behana.

Apne behanon ko yaaron kabhi dil se alag nahin tum karna,
Behan agar kuch keha bhi de use kabhi mayoos na tum karna,
Maa ke baad hai koi mamta to woh behan hai yeh samajh lena
Raakhi ko ek dor na samajho yeh hai atoot bandhan jeevan bhar ka.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success