Rok Leti... Poem by KAVITA SINGH

Rok Leti...

Rating: 5.0

Dil me uthte tufano ko  jo hawa na mili hoti
Mann ki chanchal lahron ko jo panah  na mili hoti
Tere badhte huye kadmon ko  main rok leti
Agar tere ishq me main fanna na hui hoti...

Na raaton ki bekrari hoti
Na din ka sukoon khota
Na aankhon ki nindein udti
Na dil ka chain-o- karar jata

Tumhari bahon ka jo sahara na milta
Meri jajbaaton ko koi kinara na milta
Tere badhte huye kadmon ko rok leti main
Agar mere dil ko, pyar tumhara na milta

Na koi afsane hote
na dil ke tarane hote
Na chahat ki chandani hoti
Aur na andheron ke ye jamane hote


Tumhare aankhon ka jo suroor na milta
Mere dil ko ishq ka noor na milta
Tere badhte huye kadmon ko rok leti main
Agar teri mohabbat me ye dil majboor na hota...

Wednesday, February 15, 2017
Topic(s) of this poem: loneliness,love,trust
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 14 March 2017

Shoaib Aziz said. Ab udaas phirte ho sardion ki shamon main. Is tara to hota hai is tara ke kamon main.

1 0 Reply
Kavita Singh 15 March 2017

mohabbat me log ye gunah karte hai.aankhon ki nindein aur dil ka sukun kurban karte hai... thank you sir

0 0
Shyam Sunder Gaur 01 March 2017

Touching lines Kavita ji

2 0 Reply
Unnikrishnan E S 15 February 2017

Hi Kavita, A beautiful expression of love. Very lovely. And very lively too. Shall come back for re... A perfect 10 for now...

1 0 Reply
Close
Error Success