Sadak Par Kai Jindgi Hai! Poem by rohit kumar choudhary

Sadak Par Kai Jindgi Hai!

Bina khud s kuch puche,
chehre par arjoo ke hsi liye,
Aksar Ghar se niklta hu..

Kuch kdmo k darmiya
Kai jindgi sadak pdi hai
Unme ek wazood dundta hu..

Dhundhle sapno ka sahar
Dhundhle se mere raste
Jane KB koi ujala milega...

Kai chehra hai, kai dard hai
Har ankhe ek kissa khti hai
Sochta hu ye njara kya hai...

Do waqt guzare ki aajmaish
Ya tinka tinka sab lawarish
Bikhda pda hai na khi kai khani...

Ruke Jo kadam tere kabhi
Unse do bol bolkar dekhna
Sayad tumhe koi aawaz mil jaye...

Kar sako koshish to dekhna
Kash uski kismat mil jaye
Tumhe tumhare jiwan ka maksad mil jaye...

Kab se yuhi niklta hu ghar se
Kash koi en khwab ko hwa de
Kabhi lautunga ghar khusi khusi se...

Sunday, November 27, 2016
Topic(s) of this poem: social comment
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success