Sapna Poem by abhishek giri

Sapna

us chand ne mujhse pucha q itrata hai tu itna,
kya hai tere pass koi khoobshvrat mere jitna
mai jhat se bola, tujhme ghamand bhara hai,
dekh tujhse bhi zada koi haseen mere pass khada hai,
tu hoga chand sab ke liye par mera chand toh yeh hai,
tu dikhta hai bas andheri rato ko,
tujh me na koi zazbat bhara,
chand ne dekha us haseena ko,
bola yeh toh meri perchai hai,
mai mushkuraya ar kaha,
qui jhooth bolta hai, jalan tere mukh se khalak aai hai,
tu dikhta nahi andheri raato ko,
yeh toh andhere me bhi chamakti hai,
tu hai banjar sa,
yeh toh hariyali ki misaal hai,
usne kaha iss haseena se mujhe bhi milao,
kya hai raaj khoobsurti ka zara mujhe bhi batao,
jab utara chand zameen pe, dekh ke bola,
duniya manti 7 ajoobo ko, yeh toh 8thwa hoga,
ruksat ke wakht bola, sambhal ke rakhna, agle janam me yeh mera hoga,
maine kaha hamara toh 7 janmo ka naata hai,
tu dekh le kiri aur ko,
iss pe toh haq sirf hamara hai.
Tabhi maa ne jagaya ar kaha, mat dekh aisa sapna, jaa bana le hakikat me kisi ko apna, jaa bana le hakikat me kisi ko apna.....

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
about dreams
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
abhishek giri

abhishek giri

siwan, bihar
Close
Error Success