School Ka Woh Pehla Din Poem by kitz d budding poet

School Ka Woh Pehla Din



SWEET SCHOOL MEMORIES
SlHOOL ka who pehla din,
Aur rote-rote class maine entry.
Woh teacher ka kehna “G.U.D M.O.R.N.I.N.G C.L.A.S.S”
Woh gate huye kehna “G..U..D M..O..R..N..I..N..G T..E..A..C..H..E..R”

SAB BAHUT SPECIAL LAGTA HAI
Woh primary classes maine teacher ka terror,
Woh class ke bahar baith ke karma adhura sa home-work.
Woh class ke saath monotonous tone maine “POEM” gana,
Woh recitation ke time ek line yaad na aana.
Woh monitor ko apni best friend banana,
Woh khud monitor ban ke teacher ki nakal utarna.
Woh copy maine hamesha good milna,
Woh excellent milne par sab ke samne itrana.

SAB BAHUT SPECIAL LAGTA HAI.
Woh secondary class maine aa kar friendship ka actual meaning samjhna.
Woh seniors ke saath har baat par ladna.
Woh physics ko boring aur chemistry ko pakao samjhna,
Woh har class maine sote huye pakde jana.
Woh kisi bhi cultural programme ki practice ka bahana kar ke class se bunk marna,
Woh ek din pehle tak dance ki stepps prepare karma.

SAB BAHUT SPECIAL LAGTA HAI.
Woh atlast senior hone ka guroor hona,
Woh har baat par seniorgirir jhadna.
Woh test ka kabhie padh kar nahin aana,
Woh peeche baith kar copy se teepna.
Woh har baat par hero banana,
Woh mam ke aate hi sabke bolte band ho jana.
Woh chotti se baat par doston se ladna,
Woh har badi problems maine unka saath dena.
Woh exam maine kabhie padh ken a jana,
Woh hall se bahar aa kar kehna –
“BAS YARR 40 AA JAYENGE”
WOh kabhie apne paper par highest marks dekh kar, dosto ke taane sunana,
Woh paper par fail likhe hone par sabka saath maine rona.
Woh canteen ko apna adaa samjhna,
Woh principal ke office ke samne punishment maine khade hona.
Woh debate maine phodo – fado speech dena,
Woh na jeetne par kehna –
“KYA GAWAR JUDGE THA”
Woh teacher se har possible gossip karma,
Woh class ke beech lunch khate huye pakde jana.
Woh kabhie PJ’’s ki katar laga ke pagalon ki tarah hasna,
Woh kabhie senti ho kar sabko group hug dena.

SAB BAHUT SPECIAL LAGTA HAI

PHIE SE WOH DIN AAYEGA JAB SAB ROYENGE, BAS DIFFERENCE ITNA HOGA KI,
WOH CLASSROOMS NAHIN HONGE,
WOH TEACHERS KE ENDLESS LECTURE,
WOH CANTEEN KE SAMOSE NAHIN HONGE,
WOH FRIENDS KE SAATH MASS BUNKING,
WOH EXAMS MAINE CHEATING NAHN HONGI,
WOH LUNCH KI ZABARDAST MASTI,
WOH DOSTO SE KATTI-PUCHHI NAHI HOGI.
.
.
.
.
BAS HOGA TOH SCHOOL KA GATE AUR USKE PEECHE 15 SAAL KI YAADEIN.
I’M GONNA MISS MAH SCHOOL, TEACHERS, FRIENDS, MASTI.
OVERALL I’M GONNA MISS ME……….

COMMENTS OF THE POEM
Queen 03 September 2019

hy...... can u write another poem about teacher taking different subject with their name.........

1 0 Reply
Shekhar Joshi 20 February 2010

abe yaar tune toh puri school revisit kara di......voh apne paper mai hiest dekh kar doston k taane sun na....abi b yaad hai....this is the second best poem i have read bout schooling (best is ofcourse by my frn) .....doesnt take anything frm ur nostalgic poem tho

16 3 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success